nai ek nazm ka unwan rakkhun
na.ī ik nazm kā unvān rakkhūñ
phir is meñ vasl ke imkān rakkhūñ
ho mushkil jis se mujh ko maar paanā
kisī chiḌiyā meñ apnī jaan rakkhūñ
mile koī jo merā dhyān rakkhe
maiñ us kā had se zyāda dhyān rakkhūñ
zarā dekhūñ ki kyā kyā boltī hai
kisī dīvār par ye kaan rakkhūñ
baḌhā duuñ mushkileñ duniyā kī aise
maiñ ḳhud ko auroñ se āsān rakkhūñ
ḳhudā honā to mumkin hī nahīñ hai
so behtar hai use insān rakkhūñ
merā maz.hab hai kyā kyoñ pūchhte ho
maiñ panDit haath meñ qur.ān rakkhūñ
nai ek nazm ka unwan rakkhun
phir is mein wasl ke imkan rakkhun
ho mushkil jis se mujh ko mar pana
kisi chiDiya mein apni jaan rakkhun
mile koi jo mera dhyan rakkhe
main us ka had se zyaada dhyan rakkhun
zara dekhun ki kya kya bolti hai
kisi diwar par ye kan rakkhun
baDha dun mushkilen duniya ki aise
main KHud ko auron se aasan rakkhun
KHuda hona to mumkin hi nahin hai
so behtar hai use insan rakkhun
mera mazhab hai kya kyon puchhte ho
main panDit hath mein quran rakkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.