nai manzilon ko pa lo mere naqsh-e-pa pe chal ke
na.ī manziloñ ko pā lo mire naqsh-e-pā pe chal ke
maiñ banā chukī huuñ logo vo jo rāste haiñ kal ke
mujhe bahr-e-ġham meñ pā kar na hañso ai hañsne vaalo
koī mauj le na Duube kahīñ tum ko bhī uchhal ke
tirī aarzū se baḌh kar koī aarzū nahīñ hai
maiñ tujhī ko DhūñDhtī huuñ tire ġham ke saath chal ke
kahīñ dhuup ban gayā hai kahīñ raat kā añdherā
mirā dil jo bujh gayā hai tirī anjuman meñ jal ke
chalo sab fareb hogā ye ḳhayāl-e-dair-o-ka.aba
koī vo jagah batā de jahāñ jaa.eñ ham nikal ke
na koī mirā Thikāna na hai koī merī manzil
tujhe kyā milā zamāne mirī zindagī badal ke
ye Dhaleñge chāñdnī meñ ka.ī ghar kareñge raushan
jo charāġh bujh ga.e haiñ sar-e-shām hī se jal ke
kahīñ zindagī banī hai kahīñ zindagī kī dhaḌkan
koī 'shā.era' jo hasrat bahī āñsuoñ meñ Dhal ke
nai manzilon ko pa lo mere naqsh-e-pa pe chal ke
main bana chuki hun logo wo jo raste hain kal ke
mujhe bahr-e-gham mein pa kar na hanso ai hansne walo
koi mauj le na Dube kahin tum ko bhi uchhal ke
teri aarzu se baDh kar koi aarzu nahin hai
main tujhi ko DhunDhti hun tere gham ke sath chal ke
kahin dhup ban gaya hai kahin raat ka andhera
mera dil jo bujh gaya hai teri anjuman mein jal ke
chalo sab fareb hoga ye KHayal-e-dair-o-kaba
koi wo jagah bata de jahan jaen hum nikal ke
na koi mera Thikana na hai koi meri manzil
tujhe kya mila zamane meri zindagi badal ke
ye Dhalenge chandni mein kai ghar karenge raushan
jo charagh bujh gae hain sar-e-sham hi se jal ke
kahin zindagi bani hai kahin zindagi ki dhaDkan
koi 'shaera' jo hasrat bahi aansuon mein Dhal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.