nai mohabbat ki dastanen raqam karenge to hum karenge
na.ī mohabbat kī dāstāneñ raqam kareñge to ham kareñge
diloñ meñ baḌhtī huī ḳhalījoñ ko kam kareñge to ham kareñge
ham apnī nīñdoñ kī Doriyoñ tak ko tere pallū se bāñdh leñge
yuuñ apne ḳhvāboñ ko tere ḳhvāboñ meñ zam kareñge to ham kareñge
chalo ye mil ke kareñ irāda kareñ ḳhudā se ye mil ke vā'da
zamīn-e-aqdas pe ġham ke māroñ kā ġham kareñge to ham kareñge
vo jin ke sīnoñ meñ dil nahīñ hai unhīñ se tarġhīb mil rahī hai
ab aise sīnoñ pe dhaḌkanoñ kā jo dam kareñge to ham kareñge
jahāñ meñ jo kuchh zuhūr meñ hai sabhī hamāre huzūr meñ hai
ye dīn-o-duniyā ye ‘ishq-o-mastī baham kareñge to ham kareñge
ḳhudā hai shāhid ‘nadīm-nājid' ye hai mire 'ishq kā taqāzā
tumheñ yahāñ pe bhī aur vahāñ bhī sanam kareñge to ham kareñge
nai mohabbat ki dastanen raqam karenge to hum karenge
dilon mein baDhti hui KHalijon ko kam karenge to hum karenge
hum apni nindon ki Doriyon tak ko tere pallu se bandh lenge
yun apne KHwabon ko tere KHwabon mein zam karenge to hum karenge
chalo ye mil ke karen irada karen KHuda se ye mil ke wa'da
zamin-e-aqdas pe gham ke maron ka gham karenge to hum karenge
wo jin ke sinon mein dil nahin hai unhin se targhib mil rahi hai
ab aise sinon pe dhaDkanon ka jo dam karenge to hum karenge
jahan mein jo kuchh zuhur mein hai sabhi hamare huzur mein hai
ye din-o-duniya ye ‘ishq-o-masti baham karenge to hum karenge
KHuda hai shahid ‘nadim-najid' ye hai mere 'ishq ka taqaza
tumhein yahan pe bhi aur wahan bhi sanam karenge to hum karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.