nai mushkil mein apna sar na de dun
na.ī mushkil meñ apnā sar na de duuñ
ki chashm-e-tar ko chashm-e-tar na de duuñ
shikārī mujh se ranjish le rahe haiñ
parindoñ ko kahīñ maiñ par na de duuñ
baḌe din se mujhe Thukrā rahī hai
kahīñ ab maiñ use Thokar na de duuñ
tirī ḳhātir mujhe Dar lag rahā hai
mohabbat meñ nayā ik Dar na de duuñ
mujhe bhī log patthar mārte haiñ
kahīñ majnūñ ko bhī patthar na de duuñ
nai mushkil mein apna sar na de dun
ki chashm-e-tar ko chashm-e-tar na de dun
shikari mujh se ranjish le rahe hain
parindon ko kahin main par na de dun
baDe din se mujhe Thukra rahi hai
kahin ab main use Thokar na de dun
teri KHatir mujhe Dar lag raha hai
mohabbat mein naya ek Dar na de dun
mujhe bhi log patthar marte hain
kahin majnun ko bhi patthar na de dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.