nai nai aankhen hon to har manzar achchha lagta hai
na.ī na.ī āñkheñ hoñ to har manzar achchhā lagtā hai
kuchh din shahr meñ ghūme lekin ab ghar achchhā lagtā hai
milne-julne vāloñ meñ to sab hī apne jaise haiñ
jis se ab tak mile nahīñ vo aksar achchhā lagtā hai
mere āñgan meñ aa.e yā tere sar par choT lage
sannāToñ meñ bolne vaalā patthar achchhā lagtā hai
chāhat ho yā puujā sab ke apne apne sāñche haiñ
jo maut meñ Dhal jaa.e vo paikar achchhā lagtā hai
ham ne bhī so kar dekhā hai na.e purāne shahroñ meñ
jaisā bhī hai apne ghar kā bistar achchhā lagtā hai
nai nai aankhen hon to har manzar achchha lagta hai
kuchh din shahr mein ghume lekin ab ghar achchha lagta hai
milne-julne walon mein to sab hi apne jaise hain
jis se ab tak mile nahin wo aksar achchha lagta hai
mere aangan mein aae ya tere sar par choT lage
sannaTon mein bolne wala patthar achchha lagta hai
chahat ho ya puja sab ke apne apne sanche hain
jo maut mein Dhal jae wo paikar achchha lagta hai
hum ne bhi so kar dekha hai nae purane shahron mein
jaisa bhi hai apne ghar ka bistar achchha lagta hai
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 450)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.