nai nazmen sunai ja rahi hain
na.ī nazmeñ sunā.ī jā rahī haiñ
na.ī tarzeñ banā.ī jā rahī haiñ
tarannum jin meñ anqā soz ġhā.eb
vo ġhazleñ gungunā.ī jā rahī haiñ
hayā ke shahr kī saarī fasīleñ
kudāl-e-shar se Dhaa.ī jā rahī haiñ
jo filmeñ dekhte the yaar chhup kar
gharoñ meñ ab dikhā.ī jā rahī haiñ
ajab jamhūr hai ki beTiyāñ bhī
election meñ nachā.ī jā rahī haiñ
yahūdī suud meñ the gosht lete
yahāñ haDiyāñ chabā.ī jā rahī haiñ
tamaddun mar chukā hai is kī sāñseñ
mashīnoñ par chalā.ī jā rahī haiñ
nai nazmen sunai ja rahi hain
nai tarzen banai ja rahi hain
tarannum jin mein anqa soz ghaeb
wo ghazlen gungunai ja rahi hain
haya ke shahr ki sari fasilen
kudal-e-shar se Dhai ja rahi hain
jo filmen dekhte the yar chhup kar
gharon mein ab dikhai ja rahi hain
ajab jamhur hai ki beTiyan bhi
election mein nachai ja rahi hain
yahudi sud mein the gosht lete
yahan haDiyan chabai ja rahi hain
tamaddun mar chuka hai is ki sansen
mashinon par chalai ja rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.