nai poshak pahne hai purane KHwab ki hasrat
na.ī poshāk pahne hai purāne ḳhvāb kī hasrat
maiñ hañs kar Taal detī huuñ dil-e-betāb kī hasrat
mohabbat aur kyā hai ik sarāb-e-tishnagī to hai
vahī sahrā kī cham-cham meñ chamakte aab kī hasrat
nayā kirdār gaḌ.h kar maiñ kahānī hī badal detī
magar puurī na ho paa.ī na.e ik baab kī hasrat
tumhārī yaad kā gahrā ta.alluq āñsuoñ se hai
mirī palkoñ ko kyā hogī kisī sailāb kī hasrat
bas itnā soch kar is or kashtī moḌ dī maiñ ne
nikal jaa.e na kyoñ kar is dafa girdāb kī hasrat
zamīñ pe thak ke gir jā.ūñ to shāyad niiñd aa jaa.e
ki in āñkhoñ ko hai ik umr se ik ḳhvāb kī hasrat
nai poshak pahne hai purane KHwab ki hasrat
main hans kar Tal deti hun dil-e-betab ki hasrat
mohabbat aur kya hai ek sarab-e-tishnagi to hai
wahi sahra ki cham-cham mein chamakte aab ki hasrat
naya kirdar gaDh kar main kahani hi badal deti
magar puri na ho pai nae ek bab ki hasrat
tumhaari yaad ka gahra talluq aansuon se hai
meri palkon ko kya hogi kisi sailab ki hasrat
bas itna soch kar is or kashti moD di main ne
nikal jae na kyon kar is dafa girdab ki hasrat
zamin pe thak ke gir jaun to shayad nind aa jae
ki in aankhon ko hai ek umr se ek KHwab ki hasrat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.