nai tahzib se bachchon ko bachaun kaise
na.ī tahzīb se bachchoñ ko bachā.ūñ kaise
ḳhud to bigḌā huuñ zamāne ko banā.ūñ kaise
vo na dekhe merī jānib to nahīñ us kī ḳhatā
maiñ añdhere meñ paḌā huuñ nazar aa.uuñ kaise
mere āñgan meñ to aa.ī hī nahīñ mauj-e-bahār
koī phūloñ se bharā giit sunā.ūñ kaise
chāhtā to huuñ ki dekhūñ pas-e-parda kyā hai
dastaras jis pe na ho us ko uThā.ūñ kaise
par nikalte hī koī us ko katar detā hai
apne bachchoñ ko fazāoñ meñ uḌā.ūñ kaise
vaqt mahdūd diyā kaam diyā lā-mahdūd
zindagī bol tirā qarz chukā.ūñ kaise
jism par choT lagī ho to dikhā.ūñ 'māhir'
dil pe jo choT lagī hai vo dikhā.ūñ kaise
nai tahzib se bachchon ko bachaun kaise
KHud to bigDa hun zamane ko banaun kaise
wo na dekhe meri jaanib to nahin us ki KHata
main andhere mein paDa hun nazar aaun kaise
mere aangan mein to aai hi nahin mauj-e-bahaar
koi phulon se bhara git sunaun kaise
chahta to hun ki dekhun pas-e-parda kya hai
dastaras jis pe na ho us ko uThaun kaise
par nikalte hi koi us ko katar deta hai
apne bachchon ko fazaon mein uDaun kaise
waqt mahdud diya kaam diya la-mahdud
zindagi bol tera qarz chukaun kaise
jism par choT lagi ho to dikhaun 'mahir'
dil pe jo choT lagi hai wo dikhaun kaise
- Book : Hari Sonahri Khak (Ghazal) (Pg. 63)
- Author : Mahir Abdul Hayee
- Publication : Bazme-e-Urdu,Mau (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.