nai Thokar lagegi to sambhalna sikh lenge hum
na.ī Thokar lagegī to sambhalnā siikh leñge ham
hisār-e-bebasī se bhī nikalnā siikh leñge ham
baḌī chāhat se apne rañg terī samt bheje the
na.e rañgoñ kī chāhat ko kuchalnā siikh leñge ham
abhī to bas muñDeroñ tak tumhārī dhuup aa.ī hai
Dhalegā din to us ke saath Dhalnā siikh leñge ham
tarīqa kuchh nayā tum soch rakhnā maat dene kā
usī asnā meñ koī chaal chalnā siikh leñge ham
ka.ī mausam rahe haiñ nauha-ḳhvāñ is barf-jānī par
so ab to sard aahoñ par pighalnā siikh leñge ham
hue mismār to ab 'sā.ima' ye soch baiThe haiñ
havā kā dekh kar ke ruḳh badalnā siikh leñge ham
nai Thokar lagegi to sambhalna sikh lenge hum
hisar-e-bebasi se bhi nikalna sikh lenge hum
baDi chahat se apne rang teri samt bheje the
nae rangon ki chahat ko kuchalna sikh lenge hum
abhi to bas munDeron tak tumhaari dhup aai hai
Dhalega din to us ke sath Dhalna sikh lenge hum
tariqa kuchh naya tum soch rakhna mat dene ka
usi asna mein koi chaal chalna sikh lenge hum
kai mausam rahe hain nauha-KHwan is barf-jaani par
so ab to sard aahon par pighalna sikh lenge hum
hue mismar to ab 'saima' ye soch baiThe hain
hawa ka dekh kar ke ruKH badalna sikh lenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.