nai zaban mili hai so aisa bolte hain
na.ī zabān milī hai so aisā bolte haiñ
shurūa meñ to sabhī ulTā sīdhā bolte haiñ
ḳhudā kare ki kabhī baat bhī na kar paa.eñ
ye jitne log tere aage ūñchā bolte haiñ
use kahā thā ki logoñ se guftugū na kare
ab us ke shahar ke sab log mīThā bolte haiñ
kisī se bolnā bā-qā.edā nahīñ sīkhā
bas ek roz yūñhī ḳhud se sochā bolte haiñ
nikal ke shor se aa.ī thī ik daraḳht tale
magar yahāñ to parinde bhī kitnā bolte haiñ
ham aise log koī baat dil meñ rakhte nahīñ
kisī se koī gila ho to sīdhā bolte haiñ
nai zaban mili hai so aisa bolte hain
shurua mein to sabhi ulTa sidha bolte hain
KHuda kare ki kabhi baat bhi na kar paen
ye jitne log tere aage uncha bolte hain
use kaha tha ki logon se guftugu na kare
ab us ke shahar ke sab log miTha bolte hain
kisi se bolna ba-qaeda nahin sikha
bas ek roz yunhi KHud se socha bolte hain
nikal ke shor se aai thi ek daraKHt tale
magar yahan to parinde bhi kitna bolte hain
hum aise log koi baat dil mein rakhte nahin
kisi se koi gila ho to sidha bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.