nai zamin ata ho naya makan bhi bane
na.ī zamīn atā ho nayā makāñ bhī bane
hamāre hijr kā kuchh munfarid nishāñ bhī bane
chubho liyā tirī chūḌī kā shīsha āñkhoñ meñ
hamārī aañkh kā naqsha lahūluhāñ bhī bane
tamām hijr-zada log mere saath chaleñ
firāq-e-yār ke māroñ kā kārvāñ bhī bane
koī sila nahīñ paayā tumhārī chāhat meñ
tumhāre vāste logoñ meñ bad-zabāñ bhī bane
bahār aa.ī hai phūloñ se lad ga.iiñ shāḳheñ
hamāre naam kā ik ġhuncha-e-dahāñ bhī bane
ugā rahā huuñ na.e peḌ ghar ke āñgan meñ
koī to ho jo mire ghar kā sā.ebāñ bhī bane
hunar na ilm na aql-o-shu.ūr thā 'faisal'
kuchh aise log yahāñ mīr-e-kārvāñ bhī bane
nai zamin ata ho naya makan bhi bane
hamare hijr ka kuchh munfarid nishan bhi bane
chubho liya teri chuDi ka shisha aankhon mein
hamari aankh ka naqsha lahuluhan bhi bane
tamam hijr-zada log mere sath chalen
firaq-e-yar ke maron ka karwan bhi bane
koi sila nahin paya tumhaari chahat mein
tumhaare waste logon mein bad-zaban bhi bane
bahaar aai hai phulon se lad gain shaKHen
hamare nam ka ek ghuncha-e-dahan bhi bane
uga raha hun nae peD ghar ke aangan mein
koi to ho jo mere ghar ka saeban bhi bane
hunar na ilm na aql-o-shuur tha 'faisal'
kuchh aise log yahan mir-e-karwan bhi bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.