nai zaminen nae aasman banaunga
na.ī zamīneñ na.e āsmāñ banā.ūñgā
darīda 'ahd meñ apnā jahāñ banā.ūñgā
maiñ khīñch kar tire sūraj ko apnī dhartī par
hudūd-e-saql meñ apnā zamāñ banā.ūñgā
darūn-e-dil meñ lagā.ūñgā terī mūrat ko
fasīl-e-jism pe terā makāñ banā.ūñgā
maiñ toḌ dūñgā sabhī but tire zamāne ke
shu'ūr-e-zāt se aisā samāñ banā.ūñgā
ḳhutūt-e-'ishq se maiñ jiit lūñgā duniyā ko
zamīñ kī god se dil kī kamāñ banā.ūñgā
maiñ rok dūñgā sabhī zulm is zamāne meñ
savād-e-'adl ko aisā ravāñ banā.ūñgā
nai zaminen nae aasman banaunga
darida 'ahd mein apna jahan banaunga
main khinch kar tere suraj ko apni dharti par
hudud-e-saql mein apna zaman banaunga
darun-e-dil mein lagaunga teri murat ko
fasil-e-jism pe tera makan banaunga
main toD dunga sabhi but tere zamane ke
shu'ur-e-zat se aisa saman banaunga
KHutut-e-'ishq se main jit lunga duniya ko
zamin ki god se dil ki kaman banaunga
main rok dunga sabhi zulm is zamane mein
sawad-e-'adl ko aisa rawan banaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.