naim aaj main is shakl ko jawan dekha
na.iim aaj maiñ is shakl ko javāñ dekhā
ḳhudā ko sūrat-e-insān meñ ayaañ dekhā
tū hī hai ka.aba meñ aur tū hī but-kade meñ hai
ġharaz ki tujh ko bhī ham ne kahāñ kahāñ dekhā
karoge jaur kisī aur par to jānoge
abhī to zulm kā tum ne mazā kahāñ dekhā
ham apnī dil kī tilāvat ko yaad kar ro.e
kisī ke haal pe gar tujh ko mehrbāñ dekhā
gire ham aan ke tab tere āstāne par
jahāñ meñ koī na jab tujh sā qadr-dāñ dekhā
agarche yaar to tere hazār hoveñge
koī bhī ham sā bhalā yaar jāñ-fishāñ dekhā
yaqīñ 'na.īm' ke ahvāl kā na thā tujh ko
gayā na jī hī se āḳhir ai bad-gumāñ dekhā
naim aaj main is shakl ko jawan dekha
KHuda ko surat-e-insan mein ayan dekha
tu hi hai kaba mein aur tu hi but-kade mein hai
gharaz ki tujh ko bhi hum ne kahan kahan dekha
karoge jaur kisi aur par to jaanoge
abhi to zulm ka tum ne maza kahan dekha
hum apni dil ki tilawat ko yaad kar roe
kisi ke haal pe gar tujh ko mehrban dekha
gire hum aan ke tab tere aastane par
jahan mein koi na jab tujh sa qadr-dan dekha
agarche yar to tere hazar howenge
koi bhi hum sa bhala yar jaan-fishan dekha
yaqin 'naim' ke ahwal ka na tha tujh ko
gaya na ji hi se aaKHir ai bad-guman dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.