nain hain ye sharab uf tauba
nain haiñ ye sharāb uf tauba
nīm-ruḳh par hijāb uf tauba
surma.ī ye nigāh hai qātil
zarb-kārī azaab uf tauba
jaam ke ik taraf haiñ mere hoñT
ik taraf vo gulāb uf tauba
murta.ish dil huā hai phir sākit
halq ḳhushk dil ḳharāb uf tauba
ishq meñ ik faqīr pāgal dil
husn kā vo navāb uf tauba
haiñ vo āñkheñ savāl naama ab
bas mirā ik javāb uf tauba
nain hain ye sharab uf tauba
nim-ruKH par hijab uf tauba
surmai ye nigah hai qatil
zarb-kari azab uf tauba
jam ke ek taraf hain mere honT
ek taraf wo gulab uf tauba
murtaish dil hua hai phir sakit
halq KHushk dil KHarab uf tauba
ishq mein ek faqir pagal dil
husn ka wo nawab uf tauba
hain wo aankhen sawal nama ab
bas mera ek jawab uf tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.