nain nashe ki chaDhti numu par
nain nashe kī chaḌhtī numū par
baaqī badan sab jām-o-subū par
chiḌiyāñ mor mamūle vaadī
ham tum ek kinār-e-jū par
likkhī ga.ī tārīḳh hamārī
kuufe tere kāḳh-o-kū par
ham ne apnī kavitā gūñdhī
miTTī kī soñdhī ḳhushbū par
karbal harb harāval hamla
karbal āḳhirī zarb adū par
nain nashe ki chaDhti numu par
baqi badan sab jam-o-subu par
chiDiyan mor mamule wadi
hum tum ek kinar-e-ju par
likkhi gai tariKH hamari
kufe tere kaKH-o-ku par
hum ne apni kawita gundhi
miTTi ki sondhi KHushbu par
karbal harb harawal hamla
karbal aaKHiri zarb adu par
- Book : Aiwan (Pg. 106)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.