nain to bar bar bhar jaen
nain to baar baar bhar jaa.eñ
kaise naġhme bahār ke gaa.eñ
terā ehsās kho gayā ham se
ab tujhe DhūñDne kahāñ jaa.eñ
haath apne lahūluhān hue
ranjisheñ aur kitnī sahlā.eñ
reshmī taar se bañdhī thiiñ magar
TūTtī hī nahīñ haiñ āshā.eñ
aap ke ḳhuuñ kā rañg dekh liyā
ab adā-kāriyāñ na dikhlā.eñ
ham mohabbat ke ho liye sāhab
aap apnī dukān par jaa.eñ
nain to bar bar bhar jaen
kaise naghme bahaar ke gaen
tera ehsas kho gaya hum se
ab tujhe DhunDne kahan jaen
hath apne lahuluhan hue
ranjishen aur kitni sahlaen
reshmi tar se bandhi thin magar
TuTti hi nahin hain aashaen
aap ke KHun ka rang dekh liya
ab ada-kariyan na dikhlaen
hum mohabbat ke ho liye sahab
aap apni dukan par jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.