nainon mein tera aks sajaane ke liye hai
nainoñ meñ tirā 'aks sajāne ke liye hai
tū pyār-bharī nazm sunāne ke liye hai
jī bhar ke tujhe dekhnā phir dekhte rahnā
ye sab to faqat saañs chalāne ke liye hai
kis tarh se ham zer hue us ke sitam se
ye baat yahāñ sab ko batāne ke liye hai
har baat pe inkār hai har baat pe jhagḌā
nāzuk sā mirā dil ye jalāne ke liye hai
nainon mein tera 'aks sajaane ke liye hai
tu pyar-bhari nazm sunane ke liye hai
ji bhar ke tujhe dekhna phir dekhte rahna
ye sab to faqat sans chalane ke liye hai
kis tarh se hum zer hue us ke sitam se
ye baat yahan sab ko batane ke liye hai
har baat pe inkar hai har baat pe jhagDa
nazuk sa mera dil ye jalane ke liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.