nairangi-e-bahaar-e-junun hum bhi dekh len
nairangī-e-bahār-e-junūñ ham bhī dekh leñ
kyā gul khilā.e girya-e-shabnam bhī dekh leñ
sunte haiñ vo hai dushman-e-īmān-o-āgahī
mauj-e-mai-e-nashāt kā aalam bhī dekh leñ
le sar uThā rahe haiñ tire āstāñ se ham
hotā hai kaun ishq kā mahram bhī dekh leñ
shāyad ġham-e-jahāñ ke asīroñ ko raas aa.e
āshuftagī-e-gesu-e-pur-ḳham bhī dekh leñ
paalā paḌā hai husn-e-taġhāful-shi.ār se
zabt-e-junūn-e-ishq kā dam-ḳham bhī dekh leñ
āvārgī-e-fasl-e-chaman chaar din sahī
kuchh irtibāt-e-sho.ala-o-shabnam bhī dekh leñ
tere ḳhayāl hī se na hoñ rāhateñ tamām
tujh ko bhulā ke ishq kā aalam bhī dekh leñ
muddat huī ki aañkh se Tapkā nahīñ lahū
kis haal meñ haiñ ahl-e-vafā ham bhī dekh leñ
vo jin ko e'timād-e-ḳhulūs-e-vafā nahīñ
furqat meñ chashm-e-nāz ko pur-nam bhī dekh leñ
nairangi-e-bahaar-e-junun hum bhi dekh len
kya gul khilae girya-e-shabnam bhi dekh len
sunte hain wo hai dushman-e-iman-o-agahi
mauj-e-mai-e-nashat ka aalam bhi dekh len
le sar uTha rahe hain tere aastan se hum
hota hai kaun ishq ka mahram bhi dekh len
shayad gham-e-jahan ke asiron ko ras aae
aashuftagi-e-gesu-e-pur-KHam bhi dekh len
pala paDa hai husn-e-taghaful-shiar se
zabt-e-junun-e-ishq ka dam-KHam bhi dekh len
aawargi-e-fasl-e-chaman chaar din sahi
kuchh irtibaat-e-shoala-o-shabnam bhi dekh len
tere KHayal hi se na hon rahaten tamam
tujh ko bhula ke ishq ka aalam bhi dekh len
muddat hui ki aankh se Tapka nahin lahu
kis haal mein hain ahl-e-wafa hum bhi dekh len
wo jin ko e'timad-e-KHulus-e-wafa nahin
furqat mein chashm-e-naz ko pur-nam bhi dekh len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.