nairangi-e-nashat-e-tamanna ajib hai
nairañgī-e-nashāt-e-tamannā ajiib hai
kuchh shaam se qafas meñ ujālā ajiib hai
sharmā rahe haiñ tār-e-garebān-e-chāk-e-dil
kuchh din se rañg-e-lāla-e-sahrā ajiib hai
har ḳhvāb-e-e'tibār shikastoñ se chuur hai
dil meñ magar ġhurūr-e-tamannā ajiib hai
saarā badan hai dhuup meñ jhulsā huā magar
dil par jo paḌ rahā hai vo saaya ajiib hai
pheñke nahīñ haiñ aaj talak reza-hā-e-dil
TuuTe ta.alluqāt kā rishta ajiib hai
jab tak nazar na kījiye yak qatra ḳhuuñ hai dil
lekin jo dekhiye to ye duniyā ajiib hai
'aḳhtar' ye tere paañv ke kāñTe na.e nahīñ
kāñToñ se kheltā huā chhālā ajiib hai
nairangi-e-nashat-e-tamanna ajib hai
kuchh sham se qafas mein ujala ajib hai
sharma rahe hain tar-e-gareban-e-chaak-e-dil
kuchh din se rang-e-lala-e-sahra ajib hai
har KHwab-e-e'tibar shikaston se chur hai
dil mein magar ghurur-e-tamanna ajib hai
sara badan hai dhup mein jhulsa hua magar
dil par jo paD raha hai wo saya ajib hai
phenke nahin hain aaj talak reza-ha-e-dil
TuTe talluqat ka rishta ajib hai
jab tak nazar na kijiye yak qatra KHun hai dil
lekin jo dekhiye to ye duniya ajib hai
'aKHtar' ye tere panw ke kanTe nae nahin
kanTon se khelta hua chhaala ajib hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.