Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nairangiyan falak ki hain mere hi ji ke sath

Fazal Husain Sabir

nairangiyan falak ki hain mere hi ji ke sath

Fazal Husain Sabir

MORE BYFazal Husain Sabir

    nairangiyāñ falak haiñ mere ke saath

    ġham bhī isī ke saath ḳhushī bhī isī ke saath

    dāman chhuḌā ke jab vo chale be-ruḳhī ke saath

    hasrat lipaT ke rone lagī be-ruḳhī ke saath

    dil chiiz kyā hai aur jigar hai asl kyā

    māñgeñ vo jaan bhī to maiñ de duuñ ḳhushī ke saath

    mujh se kabhī mile bhī to muñh pher kar mile

    baat bhī unhoñne to be-ruḳhī ke saath

    har vaqt sāmnā rahā ranj-o-malāl

    koī ghaḌī na guzrī hamārī ḳhushī ke saath

    kyoñ kar umiid ho ki bar aa.egā mudda.ā

    jab dekhtā huuñ rahte haiñ vo mudda.ī ke saath

    ġhairoñ ko rāhat aur musībat milī mujhe

    vo un ke ke saath hai ye mere ke saath

    dam bhar bhī ġham-gusār na ham ko milā koī

    guzrī tamām 'umr yahāñ be-kasī ke saath

    'sābir' hashr hashr meñ parvardigār ho

    as.hāb-o-āl-e-pāk-o-janāb-e-nabī ke saath

    nairangiyan falak ki hain mere hi ji ke sath

    gham bhi isi ke sath KHushi bhi isi ke sath

    daman chhuDa ke jab wo chale be-ruKHi ke sath

    hasrat lipaT ke rone lagi be-ruKHi ke sath

    dil chiz kya hai aur jigar ki hai asl kya

    mangen wo jaan bhi to main de dun KHushi ke sath

    mujh se kabhi mile bhi to munh pher kar mile

    ki baat bhi unhonne to ki be-ruKHi ke sath

    har waqt samna raha ranj-o-malal ka

    koi ghaDi na guzri hamari KHushi ke sath

    kyon kar umid ho ki bar aaega muddaa

    jab dekhta hun rahte hain wo muddai ke sath

    ghairon ko rahat aur musibat mili mujhe

    wo un ke ji ke sath hai ye mere ji ke sath

    dam bhar bhi gham-gusar na hum ko mila koi

    guzri tamam 'umr yahan be-kasi ke sath

    'sabir' ka hashr hashr mein parwardigar ho

    ashab-o-al-e-pak-o-janab-e-nabi ke sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now