nako nasihat karo azizan niga hai hamna muhan sun mita
nako nasīhat karo azīzāñ nigā hai hamnā muhan suuñ miitā
tajā huuñ maiñ riit sab jahāñ kī jidhāñ piyā suuñ priit kiitā
sanam kī ulfat meñ dil apas kā rakhā thā kar chaak chaak juuñ gul
kaho rafū-gar jahāñ meñ aisā kahāñ jo dil kā ye chaak siitā
jahāñ ke sayyād ke shikārāñ tamām mar kar shikār hote
jo dām-e-ulfat meñ aa girā so muā nahīñ hai huā hai jiitā
abas hai ye fikr ai azīzāñ lage ho rozoñ kī tum fikar meñ
ye zindagānī hai do dinan kī uḌe hai sar par ajal kā chītā
karīm terā ye diid mujh ko sadā huā hai ġhizā ye ruuh kā
'alīm' ke ta.iiñ to zindagī se nahīñ hai parvā charan kā hiitā
nako nasihat karo azizan niga hai hamna muhan sun mita
taja hun main rit sab jahan ki jidhan piya sun prit kita
sanam ki ulfat mein dil apas ka rakha tha kar chaak chaak jun gul
kaho rafu-gar jahan mein aisa kahan jo dil ka ye chaak sita
jahan ke sayyaad ke shikaran tamam mar kar shikar hote
jo dam-e-ulfat mein aa gira so mua nahin hai hua hai jita
abas hai ye fikr ai azizan lage ho rozon ki tum fikar mein
ye zindagani hai do dinan ki uDe hai sar par ajal ka chita
karim tera ye did mujh ko sada hua hai ghiza ye ruh ka
'alim' ke tain to zindagi se nahin hai parwa charan ka hita
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.