nam-e-ashk aankhon se Dhalne laga hai
nam-e-ashk āñkhoñ se Dhalne lagā hai
ki favvāra ḳhuuñ kā uchhalne lagā hai
Dubā dil kā ghar aañkh tak aan pahuñchā
ab aañsū kā naalā ubalne lagā hai
ye seb aañb shaftālū nārañgī kamarkha
tire baaġh kā meva palne lagā hai
tumhārī miyāñ dekh ye phal phulārī
mirā tifl-e-dil to machalne lagā hai
khajūreñ samose tale kuchh dilā do
ajii! jī mirā un pe chalne lagā hai
abhī aa.e kahte ho jaatā huuñ lo jī
ye sunte mirā jī dahalne lagā hai
mirī jaan jald 'azfarī' paas aa jā
ki jī us kā tujh bin nikalne lagā hai
nam-e-ashk aankhon se Dhalne laga hai
ki fawwara KHun ka uchhalne laga hai
Duba dil ka ghar aankh tak aan pahuncha
ab aansu ka nala ubalne laga hai
ye seb aanb shaftalu narangi kamarkha
tere bagh ka mewa palne laga hai
tumhaari miyan dekh ye phal phulari
mera tifl-e-dil to machalne laga hai
khajuren samose tale kuchh dila do
aji! ji mera un pe chalne laga hai
abhi aae kahte ho jata hun lo ji
ye sunte mera ji dahalne laga hai
meri jaan jald 'azfari' pas aa ja
ki ji us ka tujh bin nikalne laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.