Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nam-e-tarsil ke soton ko chhupae rakkha

Khumar Mirzada

nam-e-tarsil ke soton ko chhupae rakkha

Khumar Mirzada

MORE BYKhumar Mirzada

    nam-e-tarsīl ke sotoñ ko chhupā.e rakkhā

    mujh samā.at ne sadāoñ ko chhupā.e rakkhā

    peḌ jalte rahe āvāra rahī gard-e-malāl

    dhuup ne abr chhāñv ko chhupā.e rakkhā

    taaq thā ḳhvāb thā tanhā.ī thī tārīkī thī

    raat ne sirf charāġhoñ ko chhupā.e rakkhā

    ishq meñ ham ne tamannāoñ vahdat ke liye

    ek duuje se mizājoñ ko chhupā.e rakkhā

    ai chaman-zād-e-shafaq nāz-e-gul-e-sarv-ḳhayāl

    ham ne ḳhud meñ tire ḳhvāboñ ko chhupā.e rakkhā

    ai yaqīñ-tāb-badan terī tarāshīdagī se

    maiñ ne jhaḌtī huī poroñ ko chhupā.e rakkhā

    dhuup ujlā.e mirā chehra ki maiñ bhī sochūñ

    saa.e ne kaise ḳharāshoñ ko chhupā.e rakkhā

    nam-e-tarsil ke soton ko chhupae rakkha

    mujh samaat ne sadaon ko chhupae rakkha

    peD jalte rahe aawara rahi gard-e-malal

    dhup ne abr ki chhanw ko chhupae rakkha

    taq tha KHwab tha tanhai thi tariki thi

    raat ne sirf charaghon ko chhupae rakkha

    ishq mein hum ne tamannaon ki wahdat ke liye

    ek duje se mizajon ko chhupae rakkha

    ai chaman-zad-e-shafaq naz-e-gul-e-sarw-KHayal

    hum ne KHud mein tere KHwabon ko chhupae rakkha

    ai yaqin-tab-badan teri tarashidagi se

    main ne jhaDti hui poron ko chhupae rakkha

    dhup ujlae mera chehra ki main bhi sochun

    sae ne kaise KHarashon ko chhupae rakkha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now