nam hain palken teri ai mauj-e-hawa raat ke sath
nam haiñ palkeñ tirī ai mauj-e-havā raat ke saath
kyā tujhe bhī koī yaad aatā hai barsāt ke saath
rūThne aur manāne kī hadeñ milne lagīñ
chashm-poshī ke salīqe the shikāyāt ke saath
tujh ko kho kar bhī rahūñ ḳhalvat-e-jāñ meñ terī
jiit paa.ī hai mohabbat ne ajab maat ke saath
niiñd laatā huā phir aañkh ko dukh detā huā
tajrabe donoñ haiñ vābasta tire haat ke saath
kabhī tanhā.ī se mahrūm na rakkhā mujh ko
dost hamdard rahe kitne mirī zaat ke saath
nam hain palken teri ai mauj-e-hawa raat ke sath
kya tujhe bhi koi yaad aata hai barsat ke sath
ruThne aur manane ki haden milne lagin
chashm-poshi ke saliqe the shikayat ke sath
tujh ko kho kar bhi rahun KHalwat-e-jaan mein teri
jit pai hai mohabbat ne ajab mat ke sath
nind lata hua phir aankh ko dukh deta hua
tajrabe donon hain wabasta tere hat ke sath
kabhi tanhai se mahrum na rakkha mujh ko
dost hamdard rahe kitne meri zat ke sath
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khshboo) (Pg. 219)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.