nam hain wo aankhen bura ho ishq ki tasir ka
nam haiñ vo āñkheñ burā ho ishq kī tāsīr kā
dūsrā ruḳh kitnā dard-añgez hai tasvīr kā
vo mujassam husn-o-tamkīñ dil sarāpā dard-o-ġham
jaise 'saudā' ke qasā.ed aur taġhazzul 'mīr' kā
hind ke lāla-ruḳho az rū-e-ta.amīr-e-vatan
rañg har ḳhitte ko de do jannat-e-kashmīr kā
shauq kī āñkheñ haiñ akkās-e-bahār-e-husn-e-dost
dil sadā band-e-ġhinā-e-lahn hai taqrīr kā
tere ḳhat meñ bil-mushāfa ham-kalāmī ke maze
tarz hai maktūb-e-ġhālib meñ yahī tahrīr kā
idda.ā-e-ḳhud-shanāsī hai sarāsar be-mahal
muḳhtalif chehra ho jab har daur kī tasvīr kā
'mānī' fan meñ shaḳhsiyat hotī hai har fankār kī
shā.irī parda uThātī hai mirī tasvīr kā
nam hain wo aankhen bura ho ishq ki tasir ka
dusra ruKH kitna dard-angez hai taswir ka
wo mujassam husn-o-tamkin dil sarapa dard-o-gham
jaise 'sauda' ke qasaed aur taghazzul 'mir' ka
hind ke lala-ruKHo az ru-e-tamir-e-watan
rang har KHitte ko de do jannat-e-kashmir ka
shauq ki aankhen hain akkas-e-bahaar-e-husn-e-dost
dil sada band-e-ghina-e-lahn hai taqrir ka
tere KHat mein bil-mushafa ham-kalami ke maze
tarz hai maktub-e-ghaalib mein yahi tahrir ka
iddaa-e-KHud-shanasi hai sarasar be-mahal
muKHtalif chehra ho jab har daur ki taswir ka
'mani' fan mein shaKHsiyat hoti hai har fankar ki
shairi parda uThati hai meri taswir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.