nam mere KHun se ab KHak-e-ghazal ho jae
nam mire ḳhuun se ab ḳhāk-e-ġhazal ho jaa.e
phir raqīboñ ko bhī idrāk-e-ġhazal ho jaa.e
'mīr'-o-'ġhālib' bhī hoñ 'chakbast' narā.in 'mullā'
chāñd tāroñ bharā aflāk-e-ġhazal ho jaa.e
fikr-o-āhang se marbūt mirā sher-o-suḳhan
harf-ba-harf ye laulāk-e-ġhazal ho jaa.e
merī miTTī ko koī shakl-e-munavvar de de
phir mirī zaat bhī ik chāk-e-ġhazal ho jaa.e
bas samajh lījiye jaarī hai ḳhizāoñ kā safar
shāḳh kā phuul bhī ashvāq-e-ġhazal ho jaa.e
huzn-o-ālām takālīf masā.ib-va-mehan
fart-o-jazbāt bhī imlāk-e-ġhazal ho jaa.e
intiḳhāb-e-lab-o-lahja-o-takallum jānāñ
azmat-o-sharf sukūñ-nāk-e-ġhazal ho jaa.e
har taraf buġhz-o-anā aur raqābat 'sāqib'
harf-e-ifhām kabhī shāk-e-ġhazal ho jaa.e
nam mere KHun se ab KHak-e-ghazal ho jae
phir raqibon ko bhi idrak-e-ghazal ho jae
'mir'-o-'ghaalib' bhi hon 'chakbast' narain 'mulla'
chand taron bhara aflak-e-ghazal ho jae
fikr-o-ahang se marbut mera sher-o-suKHan
harf-ba-harf ye laulak-e-ghazal ho jae
meri miTTi ko koi shakl-e-munawwar de de
phir meri zat bhi ek chaak-e-ghazal ho jae
bas samajh lijiye jari hai KHizaon ka safar
shaKH ka phul bhi ashwaq-e-ghazal ho jae
huzn-o-alam takalif masaib-wa-mehan
fart-o-jazbaat bhi imlak-e-ghazal ho jae
intiKHab-e-lab-o-lahja-o-takallum jaanan
azmat-o-sharf sukun-nak-e-ghazal ho jae
har taraf bughz-o-ana aur raqabat 'saqib'
harf-e-ifham kabhi shak-e-ghazal ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.