nam nigahon ki narmi ghazab Dha gai

nam nigahon ki narmi ghazab Dha gai
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
nam nigāhoñ kī narmī ġhazab Dhā ga.ī
dil ke zaḳhmoñ ko mere jo gahrā ga.ī
zindagānī añdhere se Takrā ga.ī
zindagī meñ na.ī raushnī aa ga.ī
jis kalī se chaman surḳh-rū ho chalā
kis liye vo kalī jald murjhā ga.ī
bām-o-dar par vo aglī sī raunaq nahīñ
mere ghar ko kisī kī nazar khā ga.ī
aate aate qayāmat palaT kar ga.ī
jaane kyoñ ġham ke māroñ se katrā ga.ī
zindagī raushnī ko jo chhūne lagī
raushnī raah jiine kī barqā ga.ī
dhaḌkaneñ dhaḌkanoñ se jo milne lagīñ
zindagī baḌh ke donoñ ko shahnā ga.ī
un kī nazroñ kī shīsha-garī to 'adīb'
mere tārīk goshoñ ko chamkā ga.ī
nam nigahon ki narmi ghazab Dha gai
dil ke zaKHmon ko mere jo gahra gai
zindagani andhere se Takra gai
zindagi mein nai raushni aa gai
jis kali se chaman surKH-ru ho chala
kis liye wo kali jald murjha gai
baam-o-dar par wo agli si raunaq nahin
mere ghar ko kisi ki nazar kha gai
aate aate qayamat palaT kar gai
jaane kyon gham ke maron se katra gai
zindagi raushni ko jo chhune lagi
raushni rah jine ki barqa gai
dhaDkanen dhaDkanon se jo milne lagin
zindagi baDh ke donon ko shahna gai
un ki nazron ki shisha-gari to 'adib'
mere tarik goshon ko chamka gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.