nami aankhon ki bhi mahsus ki tahrir mein shamil
namī āñkhoñ kī bhī mahsūs kī tahrīr meñ shāmil
ki kājal kī dikhe hai dhaar sī tanvīr meñ shāmil
mujhe pāband kar letī kahāñ zanjīr meñ dam thā
tumhārī zulf kī ik laT rahī zanjīr meñ shāmil
imārat meñ jo satvat hai hamāre dam-qadam se hai
azal se hai ġharīboñ kā lahū ta.amīr meñ shāmil
adū se koī shikva hai na hī koī shikāyat hai
razā mahbūb kī bhī thī mirī ta.azīr meñ shāmil
muqaddar ne banāyā hai tamāshā be-navā.ī kā
jise ḳhvāboñ meñ rakkhā thā nahīñ tā'bīr meñ shāmil
mujhe āsāñ nahīñ thā zer kar lenā jafāoñ se
kisī lahje kī talḳhī thī jafā ke tiir meñ shāmil
sunā karte the lahje se pata insāñ kā chaltā hai
ġhurūr-e-zar dikhā.ī de gayā tāsīr meñ shāmil
na-jāne kaun se lamhe nasība merā phūTā thā
kabhī thā shahsavāroñ meñ abhī naḳhchīr meñ shāmil
gadā ke sar pe jo hai taaj vo hai inkisārī kā
ye kuchh ash.ār hī to haiñ jo haiñ jāgīr meñ shāmil
hamāre dil kī dhaḌkan un kī dhaḌkan se muzayyan hai
hamārā ġham bhī rahtā hai ġham-e-kashmīr meñ shāmil
shikast aise nahīñ dete the kāfir ko mire aabā
koī josh-e-shahādat bhī to thā shamshīr meñ shāmil
mubarrā kaise kar saktā huuñ apne aap ko logo
yaqīnan mere dil kī thī razā taqsīr meñ shāmil
'rashīd' irshād kī ta.amīl meñ to bhej detā huuñ
jo dil kā haal hai kaise karūñ tasvīr meñ shāmil
nami aankhon ki bhi mahsus ki tahrir mein shamil
ki kajal ki dikhe hai dhaar si tanwir mein shamil
mujhe paband kar leti kahan zanjir mein dam tha
tumhaari zulf ki ek laT rahi zanjir mein shamil
imarat mein jo satwat hai hamare dam-qadam se hai
azal se hai gharibon ka lahu tamir mein shamil
adu se koi shikwa hai na hi koi shikayat hai
raza mahbub ki bhi thi meri tazir mein shamil
muqaddar ne banaya hai tamasha be-nawai ka
jise KHwabon mein rakkha tha nahin ta'bir mein shamil
mujhe aasan nahin tha zer kar lena jafaon se
kisi lahje ki talKHi thi jafa ke tir mein shamil
suna karte the lahje se pata insan ka chalta hai
ghurur-e-zar dikhai de gaya tasir mein shamil
na-jaane kaun se lamhe nasiba mera phuTa tha
kabhi tha shahsawaron mein abhi naKHchir mein shamil
gada ke sar pe jo hai taj wo hai inkisari ka
ye kuchh ashaar hi to hain jo hain jagir mein shamil
hamare dil ki dhaDkan un ki dhaDkan se muzayyan hai
hamara gham bhi rahta hai gham-e-kashmir mein shamil
shikast aise nahin dete the kafir ko mere aaba
koi josh-e-shahadat bhi to tha shamshir mein shamil
mubarra kaise kar sakta hun apne aap ko logo
yaqinan mere dil ki thi raza taqsir mein shamil
'rashid' irshad ki tamil mein to bhej deta hun
jo dil ka haal hai kaise karun taswir mein shamil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.