naqab ruKH se uThao bahut udas hai raat
naqāb ruḳh se uThāo bahut udaas hai raat
jamāl apnā dikhāo bahut udaas hai raat
tasavvurāt meñ aao bahut udaas hai raat
tarab ke naġhme sunāo bahut udaas hai raat
bahār aa.ī hai uTTho zarā chaman vaalo
kalī ko jaam banāo bahut udaas hai raat
urūs-e-nau kī ghanerī siyāh zulfoñ meñ
hasīñ sitāre sajāo bahut udaas hai raat
abhī to raat hai baaqī abhī se fikr-e-sahar
abhī na jaao na jaao bahut udaas hai raat
ḳhushā nasīb ki vo kah rahe haiñ ai 'paikāñ'
koī ġhazal to sunāo bahut udaas hai raat
naqab ruKH se uThao bahut udas hai raat
jamal apna dikhao bahut udas hai raat
tasawwuraat mein aao bahut udas hai raat
tarab ke naghme sunao bahut udas hai raat
bahaar aai hai uTTho zara chaman walo
kali ko jam banao bahut udas hai raat
urus-e-nau ki ghaneri siyah zulfon mein
hasin sitare sajao bahut udas hai raat
abhi to raat hai baqi abhi se fikr-e-sahar
abhi na jao na jao bahut udas hai raat
KHusha nasib ki wo kah rahe hain ai 'paikan'
koi ghazal to sunao bahut udas hai raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.