naqsh diwar-e-shikasta hi kahin ho mujh mein
naqsh dīvār-e-shikasta hī kahīñ ho mujh meñ
dard ho yaad ho koī to makīñ ho mujh meñ
ik jazīra huuñ tah-e-ḳhūn-e-tamannā kab se
paañv rakhne ke liye kuchh to zamīñ ho mujh meñ
ḳhuun baaqī hai to phir zaḳhm se bāhar aa.e
rañg dikhlā.e jo ik buuñd yaqīñ ho mujh meñ
maiñ tire ġham kī amānat ko sambhāle rakkhūñ
saañs koī to magar merā amiiñ ho mujh meñ
mujh sulagte hue jañgal pe hai chaḌhtī āñdhī
lauT jaa.e jo bhī ab gosha-nashīñ ho mujh meñ
naqsh diwar-e-shikasta hi kahin ho mujh mein
dard ho yaad ho koi to makin ho mujh mein
ek jazira hun tah-e-KHun-e-tamanna kab se
panw rakhne ke liye kuchh to zamin ho mujh mein
KHun baqi hai to phir zaKHm se bahar aae
rang dikhlae jo ek bund yaqin ho mujh mein
main tere gham ki amanat ko sambhaale rakkhun
sans koi to magar mera amin ho mujh mein
mujh sulagte hue jangal pe hai chaDhti aandhi
lauT jae jo bhi ab gosha-nashin ho mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.