naqsh diwar par banata hai
naqsh dīvār par banātā hai
kaun bujhte diye jalātā hai
shab kināre pe lauT aatī hai
din samundar meñ Duub jaatā hai
pahle aatī hai shām-e-vasl-talab
phir tirā ḳhvāb mujh ko aatā hai
ham-safar gar banā nahīñ saktā
kyoñ mujhe rāsta dikhātā hai
Dhal rahā hai ḳhud us kī sūrat meñ
tū jise chaak par ghumātā hai
naqsh diwar par banata hai
kaun bujhte diye jalata hai
shab kinare pe lauT aati hai
din samundar mein Dub jata hai
pahle aati hai sham-e-wasl-talab
phir tera KHwab mujh ko aata hai
ham-safar gar bana nahin sakta
kyon mujhe rasta dikhata hai
Dhal raha hai KHud us ki surat mein
tu jise chaak par ghumata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.