naqsh-e-kuhan sab dil ke miTao
naqsh-e-kuhan sab dil ke miTāo
phir koī tasvīr banāo
bastī bastī ḳhūn-ḳharāba
aql ke maaro hosh meñ aao
patthar ban kar jiinā kyā
phūloñ kī Tahnī ban jaao
masnūī kirdār ke logo
sachchā.ī ke ruup dikhāo
raat añdherī sar par tūfāñ
soch samajh kar qadam baḌhāo
apnoñ ko tum chhoḌ ke 'rahbar'
kahāñ chale ye raaz batāo
naqsh-e-kuhan sab dil ke miTao
phir koi taswir banao
basti basti KHun-KHaraba
aql ke maro hosh mein aao
patthar ban kar jina kya
phulon ki Tahni ban jao
masnui kirdar ke logo
sachchai ke rup dikhao
raat andheri sar par tufan
soch samajh kar qadam baDhao
apnon ko tum chhoD ke 'rahbar'
kahan chale ye raaz batao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.