Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naqsh-e-mahrumi-e-taqdir ko tadbir mein rakh

Naseem Syed

naqsh-e-mahrumi-e-taqdir ko tadbir mein rakh

Naseem Syed

naqsh-e-mahrūmi-e-taqdīr ko tadbīr meñ rakh

sa.i-e-imkāñ se guzar shauq ko ta.amīr meñ rakh

apne ehsās-e-rifāqat banā mujh ko gavāh

aur phir merī gavāhī mirī taqsīr meñ rakh

hai muḳhtār tujhe haq hai tasarruf pe mire

maiñ ki khetī tirī mujh ko bhī jāgīr meñ rakh

rang sachche hoñ to tasvīr bhī bol uThtī hai

be-yaqīñ rangoñ hairat ko na tasvīr meñ rakh

aur bhī qarz haiñ tahrīr ke ai sāhib-e-ilm

ik faqat tazkira-e-ishq na tahrīr meñ rakh

naqsh-e-mahrumi-e-taqdir ko tadbir mein rakh

sai-e-imkan se guzar shauq ko tamir mein rakh

apne ehsas-e-rifaqat ka bana mujh ko gawah

aur phir meri gawahi meri taqsir mein rakh

tu hai muKHtar tujhe haq hai tasarruf pe mere

main ki kheti teri tu mujh ko bhi jagir mein rakh

rang sachche hon to taswir bhi bol uThti hai

be-yaqin rangon ki hairat ko na taswir mein rakh

aur bhi qarz hain tahrir ke ai sahib-e-ilm

ek faqat tazkira-e-ishq na tahrir mein rakh

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now