naqsh-e-pa-e-karwan hai zindagi
naqsh-e-pā-e-kārvāñ hai zindagī
ya.anī yād-e-raftagāñ hai zindagī
ġhuncha-o-gul kā tabassum ho to ho
varna paiġhām-e-ḳhizāñ hai zindagī
yā ġhurūr-e-sub.h sad-ummīd hai
yā ġham-e-shām-e-butāñ hai zindagī
lazzat-e-sad-talḳh-bāda hai mahaz
yā surūr-e-jāvedāñ hai zindagī
yā fareb-e-husn fitna-jū hai yā
sādgī-e-āshiqāñ hai zindagī
yā sadā-e-chang yā saut-e-rabāb
yā faqat āh-o-fuġhāñ hai zindagī
koī samjhā hai na samjhegā use
sahv-e-fikr-e-nukta-dāñ hai zindagī
naqsh-e-pa-e-karwan hai zindagi
yani yaad-e-raftagan hai zindagi
ghuncha-o-gul ka tabassum ho to ho
warna paigham-e-KHizan hai zindagi
ya ghurur-e-subh sad-ummid hai
ya gham-e-sham-e-butan hai zindagi
lazzat-e-sad-talKH-baada hai mahaz
ya surur-e-jawedan hai zindagi
ya fareb-e-husn fitna-ju hai ya
sadgi-e-ashiqan hai zindagi
ya sada-e-chang ya saut-e-rabab
ya faqat aah-o-fughan hai zindagi
koi samjha hai na samjhega use
sahw-e-fikr-e-nukta-dan hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.