naqsh-e-pa jab DhunDhti hun mein tumhaara ret par
naqsh-e-pa jab DhunDhti hun mein tumhaara ret par
Baharunnisa Bahar
MORE BYBaharunnisa Bahar
naqsh-e-pā jab DhūñDhtī huuñ meñ tumhārā ret par
yaad kī kuchh sīpiyāñ haiñ ab sahārā ret par
jaañ hamārī bach ga.ī hai mausamoñ ke ḳhauf se
jaatī rut ke ham musāfir ghar hamārā ret par
sāhil-e-armāñ se uTThī jab bhī mauj-e-be-amāñ
baiTh kar maiñ dekhtī huuñ ye nazāra ret par
tū ulajh ke rah gayā hai bandhanoñ ke jaal meñ
āñsuoñ ke taar TuuTe hai ishāra ret par
hasrat-e-tāmīr kī ab dil meñ ḳhvāhish hī nahīñ
kis qadar vīrāñ khañDar hai ghar hamārā ret par
titliyoñ ko rok lo jaane na do bād-e-sabā
ab 'bahār'-e-be-ḳhizāñ kā hai guzārā ret par
naqsh-e-pa jab DhunDhti hun mein tumhaara ret par
yaad ki kuchh sipiyan hain ab sahaara ret par
jaan hamari bach gai hai mausamon ke KHauf se
jati rut ke hum musafir ghar hamara ret par
sahil-e-arman se uTThi jab bhi mauj-e-be-aman
baiTh kar main dekhti hun ye nazara ret par
tu ulajh ke rah gaya hai bandhanon ke jal mein
aansuon ke tar TuTe hai ishaara ret par
hasrat-e-tamir ki ab dil mein KHwahish hi nahin
kis qadar viran khanDar hai ghar hamara ret par
titliyon ko rok lo jaane na do baad-e-saba
ab 'bahaar'-e-be-KHizan ka hai guzara ret par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.