naqsh-e-pa us ka zer-e-zamin rah gaya
naqsh-e-pā us kā zer-e-zamīñ rah gayā
maiñ falak tak bichhātā jabīñ rah gayā
is kā matlab maiñ saa.e ke hamrāh thā
shaam phailī to kuchh bhī nahīñ rah gayā
vaqt ne ek pal kī bhī mohlat na dī
jo jahāñ thā vahīñ kā vahīñ rah gayā
merī ta.amīr par ik nazar aur bhī
ek nukta mire nukta-chīñ rah gayā
us ko jaanā thā vo chal diyā chhoḌ kar
mujh ko achchhā lagā maiñ yahīñ rah gayā
ai mire dīda-var tū batā kaise maiñ
bad-gumāñ rah gayā be-yaqīñ rah gayā
naqsh-e-pa us ka zer-e-zamin rah gaya
main falak tak bichhata jabin rah gaya
is ka matlab main sae ke hamrah tha
sham phaili to kuchh bhi nahin rah gaya
waqt ne ek pal ki bhi mohlat na di
jo jahan tha wahin ka wahin rah gaya
meri tamir par ek nazar aur bhi
ek nukta mere nukta-chin rah gaya
us ko jaana tha wo chal diya chhoD kar
mujh ko achchha laga main yahin rah gaya
ai mere dida-war tu bata kaise main
bad-guman rah gaya be-yaqin rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.