naqsh hai har zulm jis ka wadi-e-kashmir par
naqsh hai har zulm jis kā vādī-e-kashmīr par
us ne dahshat-gard likkhā amn kī tasvīr par
kāhilī kī lag ga.ī dīmak har ik tadbīr par
iktifā karke vo shāyad rah gayā taqdīr par
tez rakhnā dhaar apne hausle kī har ghaḌī
munhasir hai zindagī kī jañg is shamshīr par
rakh tavāzun kuchh to vaa.iz tū bhī qaul-o-fe.al meñ
log girvīda nahīñ hote faqat taqrīr par
tiin sau terah ke jaise shart haiñ ausāf bhī
fat.h nā-mumkin hai ḳhālī nāra-e-takbīr par
kaise dastak de bhalā koī ḳhushī dar par mire
jab ġhamoñ kā saañp aa kar chaḌh gayā zanjīr par
khil uThā har ek 'dānish' ġhuncha-e-ahl-e-suḳhan
ḳhūn-e-dil chhiḌkā jo ham ne gulshan-e-tahrīr par
naqsh hai har zulm jis ka wadi-e-kashmir par
us ne dahshat-gard likkha amn ki taswir par
kahili ki lag gai dimak har ek tadbir par
iktifa karke wo shayad rah gaya taqdir par
tez rakhna dhaar apne hausle ki har ghaDi
munhasir hai zindagi ki jang is shamshir par
rakh tawazun kuchh to waiz tu bhi qaul-o-feal mein
log girwida nahin hote faqat taqrir par
tin sau terah ke jaise shart hain ausaf bhi
fath na-mumkin hai KHali nara-e-takbir par
kaise dastak de bhala koi KHushi dar par mere
jab ghamon ka sanp aa kar chaDh gaya zanjir par
khil uTha har ek 'danish' ghuncha-e-ahl-e-suKHan
KHun-e-dil chhiDka jo hum ne gulshan-e-tahrir par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.