naqsh jab bhi tera ubhaara hai
naqsh jab bhī tirā ubhārā hai
ḳhvāb ne ḳhvāb ko sañvārā hai
terī chāhat tirī vafāoñ kā
qarz ham ne kahāñ utārā hai
mere jīvan kā āsmāñ hai tū
merī qismat kā tū sitārā hai
merī naav kī tū hī manzil hai
mere dariyā kā tū kinārā hai
chal paḌeñge 'ovais' jī ham bhī
bādbāñ kā agar ishāra hai
naqsh jab bhi tera ubhaara hai
KHwab ne KHwab ko sanwara hai
teri chahat teri wafaon ka
qarz hum ne kahan utara hai
mere jiwan ka aasman hai tu
meri qismat ka tu sitara hai
meri naw ki tu hi manzil hai
mere dariya ka tu kinara hai
chal paDenge 'owais' ji hum bhi
baadban ka agar ishaara hai
- Book : al-aqraba magazine islamabad Pakistan quarterly-July-september-2015 (Pg. (شائع شدہ سہ ماہی الاقرباء اسلام آباد پاکستان شمارہ جولائی .ستمبر ۲۰۱۵))
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.