naqsh karta ram-o-raftar inan-gir ko main
naqsh kartā ram-o-raftār ināñ-gīr ko maiñ
kaisā chhankātā huā chaltā huuñ zanjīr ko maiñ
ġhaib-o-ġhaflat kā idhar jashn manā luuñ to chalūñ
abhī tāḳhīr samajhtā nahīñ tāḳhīr ko maiñ
ḳhāmushī merī kuchh aisī hadaf āgāh nahīñ
baat be-bāt chalā detā huuñ is tiir ko maiñ
sātvāñ din magar achchhā nahīñ guzrā merā
chhe din ulTātā rahā parda-e-tāmīr ko maiñ
mauj-e-ḳhūñ mujh se bas ab shaam kī duurī par hai
kitne din aur bachā saktā huuñ shamshīr ko maiñ
darmiyāñ merā ilāqa hai batā.ūñ na batā.ūñ
ek tasvīr kā dukh dūsrī tasvīr ko maiñ
phir vo satr aatī hai jab asal likhī jaatī hai
mujh ko tahrīr miTā aatī hai tahrīr ko maiñ
kahāñ le jaane ko thī paañv kī zanjīr mujhe
kahāñ le aayā magar paañv kī zanjīr ko maiñ
nazm ho baiThā huuñ āhañg-daroñ ke hāthoñ
nazm kartā huā ik nāla-e-shab-gīr ko maiñ
naqsh karta ram-o-raftar inan-gir ko main
kaisa chhankata hua chalta hun zanjir ko main
ghaib-o-ghaflat ka idhar jashn mana lun to chalun
abhi taKHir samajhta nahin taKHir ko main
KHamushi meri kuchh aisi hadaf aagah nahin
baat be-baat chala deta hun is tir ko main
satwan din magar achchha nahin guzra mera
chhe din ulTata raha parda-e-tamir ko main
mauj-e-KHun mujh se bas ab sham ki duri par hai
kitne din aur bacha sakta hun shamshir ko main
darmiyan mera ilaqa hai bataun na bataun
ek taswir ka dukh dusri taswir ko main
phir wo satr aati hai jab asal likhi jati hai
mujh ko tahrir miTa aati hai tahrir ko main
kahan le jaane ko thi panw ki zanjir mujhe
kahan le aaya magar panw ki zanjir ko main
nazm ho baiTha hun aahang-daron ke hathon
nazm karta hua ek nala-e-shab-gir ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.