naqsh tera bana raha mujh mein
naqsh terā banā rahā mujh meñ
kuchh na apnā bachā rahā mujh meñ
ḳhaak hī ḳhaak hai agar baaqī
kaun phir lau jalā rahā mujh meñ
muddatoñ yuuñ khulī rahīñ āñkheñ
ek manzar sajā rahā mujh meñ
shaḳhs vo jo bichhaḌ gayā kab kā
yaad ban kar basā rahā mujh meñ
ab talak vo ubhar nahīñ paayā
zaḳhm koī chhupā rahā mujh meñ
naqsh tera bana raha mujh mein
kuchh na apna bacha raha mujh mein
KHak hi KHak hai agar baqi
kaun phir lau jala raha mujh mein
muddaton yun khuli rahin aankhen
ek manzar saja raha mujh mein
shaKHs wo jo bichhaD gaya kab ka
yaad ban kar basa raha mujh mein
ab talak wo ubhar nahin paya
zaKHm koi chhupa raha mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.