naqsh tha aur nam tha hi nahin
naqsh thā aur naam thā hī nahīñ
ya.anī maiñ itnā aam thā hī nahīñ
ḳhvāb se kaam thā vahāñ ki jahāñ
ḳhvāb kā koī kaam thā hī nahīñ
sab ḳhabar karne vāloñ par afsos
ye ḳhabar kā maqām thā hī nahīñ
tah-ba-tah intiqām thā sar-e-ḳhāk
inhidām inhidām thā hī nahīñ
ham ne tauhīn kī qayām kiyā
is safar meñ qayām thā hī nahīñ
ab to hai par hamāre vaqtoñ meñ
shīsha-e-sub.h-o-shām thā hī nahīñ
vo to ham ne kahā ki tum bhī ho
varna koī nizām thā hī nahīñ
naqsh tha aur nam tha hi nahin
yani main itna aam tha hi nahin
KHwab se kaam tha wahan ki jahan
KHwab ka koi kaam tha hi nahin
sab KHabar karne walon par afsos
ye KHabar ka maqam tha hi nahin
tah-ba-tah intiqam tha sar-e-KHak
inhidam inhidam tha hi nahin
hum ne tauhin ki qayam kiya
is safar mein qayam tha hi nahin
ab to hai par hamare waqton mein
shisha-e-subh-o-sham tha hi nahin
wo to hum ne kaha ki tum bhi ho
warna koi nizam tha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.