naqsh wo aankh mein utra tha ki jata hi na tha
naqsh vo aañkh meñ utrā thā ki jaatā hī na thā
maiñ ne is dhuup ko Dhalte kahīñ dekhā hī na thā
ruuh kī pyaas bujhā.e na bujhegī kisī Dhañg
mujh ko is dasht kī pahnā.ī meñ ugnā hī na thā
pahle is ghar kī har ik khiḌkī khulī rahtī thī
yuuñ milā karte the jaise koī pardā hī na thā
ab jo insān havāoñ meñ uḌā phirtā hai
ye kabhī peḌ ke saa.e se nikaltā hī na thā
dauḌ paḌtā thā jahāñ ret se jalte the qadam
saath dariyā thā magar Dar se utartā hī na thā
aisī sardī meñ vahāñ jā ke kahāñ sustā.e
paar naddī ke koī dhuup kā ḳhema hī na thā
raat kā peḌ ugā thā ki koī saaya thā
kyā kahūñ haath lagā kar use dekhā hī na thā
kitne āzād the barsāt ke ḳhud-rav naale
apnī duniyā thī koī pūchhne vaalā hī na thā
hādisa aisā bhī pesh aa.egā mar jā.ūñgā
ḳhvāb aisā to kabhī umr meñ dekhā hī na thā
shā.irī ne mujhe insān banāyā hai 'ḳhalīl'
maiñ vo shīsha thā ki duniyā se chamaktā hī na thā
naqsh wo aankh mein utra tha ki jata hi na tha
main ne is dhup ko Dhalte kahin dekha hi na tha
ruh ki pyas bujhae na bujhegi kisi Dhang
mujh ko is dasht ki pahnai mein ugna hi na tha
pahle is ghar ki har ek khiDki khuli rahti thi
yun mila karte the jaise koi parda hi na tha
ab jo insan hawaon mein uDa phirta hai
ye kabhi peD ke sae se nikalta hi na tha
dauD paDta tha jahan ret se jalte the qadam
sath dariya tha magar Dar se utarta hi na tha
aisi sardi mein wahan ja ke kahan sustae
par naddi ke koi dhup ka KHema hi na tha
raat ka peD uga tha ki koi saya tha
kya kahun hath laga kar use dekha hi na tha
kitne aazad the barsat ke KHud-raw nale
apni duniya thi koi puchhne wala hi na tha
hadisa aisa bhi pesh aaega mar jaunga
KHwab aisa to kabhi umr mein dekha hi na tha
shairi ne mujhe insan banaya hai 'KHalil'
main wo shisha tha ki duniya se chamakta hi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.