nargha-e-zulmat-e-shab se main sahar ban ke uTha
nargha-e-zulmat-e-shab se main sahar ban ke uTha
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
narġha-e-zulmat-e-shab se maiñ sahar ban ke uThā
ahl-e-ġhaflat ke liye taaza ḳhabar ban ke uThā
ye bhī ik turfa-tamāsha hai tirī mahfil meñ
jab bhī maiñ baiThā huuñ āshob-e-nazar ban ke uThā
jo mirī jaan kā dushman thā huā hai yuuñ bhī
saḳht mushkil meñ vahī merī sipar ban ke uThā
arz-e-taḳhlīq thī sunsān tabhī koī ḳhayāl
ik bagūlā sā sar-e-rāhguzar ban ke uThā
phir kisī yaad se biphrī haiñ lahū kī maujeñ
phir koī dard sā siine meñ bhañvar ban ke uThā
terī baḳhshish ke bhī andāz nirāle haiñ bahut
koī dīvāna koī ahl-e-nazar ban ke uThā
nargha-e-zulmat-e-shab se main sahar ban ke uTha
ahl-e-ghaflat ke liye taza KHabar ban ke uTha
ye bhi ek turfa-tamasha hai teri mahfil mein
jab bhi main baiTha hun aashob-e-nazar ban ke uTha
jo meri jaan ka dushman tha hua hai yun bhi
saKHt mushkil mein wahi meri sipar ban ke uTha
arz-e-taKHliq thi sunsan tabhi koi KHayal
ek bagula sa sar-e-rahguzar ban ke uTha
phir kisi yaad se biphri hain lahu ki maujen
phir koi dard sa sine mein bhanwar ban ke uTha
teri baKHshish ke bhi andaz nirale hain bahut
koi diwana koi ahl-e-nazar ban ke uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.