Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nargisin aankh bhi hai abru-e-KHamdar ke pas

Parveen Umm-e-Mushtaq

nargisin aankh bhi hai abru-e-KHamdar ke pas

Parveen Umm-e-Mushtaq

MORE BYParveen Umm-e-Mushtaq

    nargisīñ aañkh bhī hai abru-e-ḳhamdār ke paas

    dūsrī aur bhī talvār hai talvār ke paas

    dushmanoñ mirī qismat se hai qaabū mujh par

    yaar ke paas hai dil yaar hai aġhyār ke paas

    yaad rakhnā jo huī va.ada-ḳhilāfī un

    bistara aan jamegā tirī dīvār ke paas

    qaidī-e-zulf qismat meñ hai ruḳhsār sair

    shukr hai baaġh bhī hai murġh-e-giraftār ke paas

    chehra bhī barq bhī dil lene meñ gesū bhī balā

    ek mo.ajaza hai kāfir o dīñ-dār ke paas

    ġhair be-jurm haiñ aur maiñ huuñ vafā mujrim

    kaun aatā bhalā mujh se gunahgār ke paas

    qabr meñ so.eñge ārām se ab ba.ad-e-fanā

    aa.egā ḳhvāb-e-adam dīda-e-bedār ke paas

    us kyā vaj.h mire hote vahāñ kyuuñ na raheñ

    kyuuñ rahe zulf-e-siyah aap ke ruḳhsār ke paas

    hoshiyārī se ho 'parvīñ' chaman-e-husn sair

    daam aur daana haiñ donoñ ruḳh-e-dil-dār ke paas

    nargisin aankh bhi hai abru-e-KHamdar ke pas

    dusri aur bhi talwar hai talwar ke pas

    dushmanon ka meri qismat se hai qabu mujh par

    yar ke pas hai dil yar hai aghyar ke pas

    yaad rakhna jo hui wada-KHilafi un ki

    bistara aan jamega teri diwar ke pas

    qaidi-e-zulf ki qismat mein hai ruKHsar ki sair

    shukr hai bagh bhi hai murgh-e-giraftar ke pas

    chehra bhi barq bhi dil lene mein gesu bhi bala

    ek sa moajaza hai kafir o din-dar ke pas

    ghair be-jurm hain aur main hun wafa ka mujrim

    kaun aata bhala mujh se gunahgar ke pas

    qabr mein soenge aaram se ab baad-e-fana

    aaega KHwab-e-adam dida-e-bedar ke pas

    us ki kya wajh mere hote wahan kyun na rahen

    kyun rahe zulf-e-siyah aap ke ruKHsar ke pas

    hoshiyari se ho 'parwin' chaman-e-husn ki sair

    dam aur dana hain donon ruKH-e-dil-dar ke pas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now