narmi-e-baalish-e-par hum ko nahin bhati hai
narmi-e-baalish-e-par hum ko nahin bhati hai
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
narmī-e-bālish-e-par ham ko nahīñ bhātī hai
dam-e-shamshīr pe sar rakkheñ to niiñd aatī hai
kyā burī ḳhū hai mirī bhī ki ba-īñ da.ava-e-aql
maiñ bhī jaatā huuñ vahāñ jaan jahāñ jaatī hai
nā-qubūl itnā huuñ murde ko mire ba.ad-az-marg
gor meñ rakkheñ to miTTī bhī nahīñ khātī hai
husn dekhā hai magar hind kī tasvīreñ kā
lailā bāzār meñ shakl apnī jo badlātī hai
na bachegā koī hargiz jo hai ruḳh kī ye safā
na jiyegā koī mutlaq jo ye ḳhush gaatī hai
ḳhair-sallā se nasīm-e-saharī ghar jaave
kar ke zikr-e-ruḳh-e-gul kyuuñ mujhe piTvātī hai
sitam-bād-e-ḳhizāñ se jo koī gul kī kalī
shāḳh par ḳhushk ho rah jaatī hai murjhātī hai
be-kasī apnī kā aalam mujhe aa jaa.e hai yaad
ki garebāñ meñ mirā sar yūñhī jhukvātī hai
'mus.hafī' kī koī ummīd to bar lā yā-rab!
muddatoñ se ye tire dar kā munājātī hai
narmi-e-baalish-e-par hum ko nahin bhati hai
dam-e-shamshir pe sar rakkhen to nind aati hai
kya buri KHu hai meri bhi ki ba-in dawa-e-aql
main bhi jata hun wahan jaan jahan jati hai
na-qubul itna hun murde ko mere baad-az-marg
gor mein rakkhen to miTTi bhi nahin khati hai
husn dekha hai magar hind ki taswiren ka
laila bazar mein shakl apni jo badlati hai
na bachega koi hargiz jo hai ruKH ki ye safa
na jiyega koi mutlaq jo ye KHush gati hai
KHair-salla se nasim-e-sahari ghar jawe
kar ke zikr-e-ruKH-e-gul kyun mujhe piTwati hai
sitam-baad-e-KHizan se jo koi gul ki kali
shaKH par KHushk ho rah jati hai murjhati hai
be-kasi apni ka aalam mujhe aa jae hai yaad
ki gareban mein mera sar yunhi jhukwati hai
'mushafi' ki koi ummid to bar la ya-rab!
muddaton se ye tere dar ka munajati hai
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(haftum) (Pg. 313)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.