nas nas mein nasha pyar ka mamur hua hai
nas nas meñ nasha pyaar kā ma.amūr huā hai
dil tere milan ke liye majbūr huā hai
vaadī meñ baras kar abhī barsāt chhaTī hai
chiḌiyoñ kī chahak se samay masrūr huā hai
āñkhoñ kī guzargāh se dar aayā hai dil meñ
tū mere tasarruf se bahut duur huā hai
sau baar tirā merā fasāna huā yakjā
sau baar mare sañg tū mazkūr huā hai
tū rañg mahak ruup meñ aayā tujhe paayā
iz.hār tire pyaar kā bharpūr huā hai
nas nas mein nasha pyar ka mamur hua hai
dil tere milan ke liye majbur hua hai
wadi mein baras kar abhi barsat chhaTi hai
chiDiyon ki chahak se samay masrur hua hai
aankhon ki guzargah se dar aaya hai dil mein
tu mere tasarruf se bahut dur hua hai
sau bar tera mera fasana hua yakja
sau bar mare sang tu mazkur hua hai
tu rang mahak rup mein aaya tujhe paya
izhaar tere pyar ka bharpur hua hai
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 210)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.