Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nasha nashe ke liye hai azab mein shamil

Nida Fazli

nasha nashe ke liye hai azab mein shamil

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    nasha nashe ke liye hai azaab meñ shāmil

    kisī yaad ko kiije sharāb meñ shāmil

    har ik talāsh yahāñ fāsloñ se raushan hai

    haqīqateñ kahāñ hotī haiñ ḳhvāb meñ shāmil

    vo tum nahīñ ho to phir kaun thā vo tum jaisā

    kisī zikr to thā har kitāb meñ shāmil

    hameñ bhī shauq hai apnī taraf se jiine

    hamārā naam bhī kiije itaab meñ shāmil

    akele kamre meñ gul-dān bolte kab haiñ

    tumhāre hoñT haiñ shāyad gulāb meñ shāmil

    zamīn roz kahāñ mo.ajiza dikhātī hai

    mirī nigāh bhī hogī naqāb meñ shāmil

    usī naam hai naġhma usī naam ġhazal

    vo ik sukūn jo hai iztirāb meñ shāmil

    nasha nashe ke liye hai azab mein shamil

    kisi ki yaad ko kije sharab mein shamil

    har ek talash yahan faslon se raushan hai

    haqiqaten kahan hoti hain KHwab mein shamil

    wo tum nahin ho to phir kaun tha wo tum jaisa

    kisi ka zikr to tha har kitab mein shamil

    hamein bhi shauq hai apni taraf se jine ka

    hamara nam bhi kije itab mein shamil

    akele kamre mein gul-dan bolte kab hain

    tumhaare honT hain shayad gulab mein shamil

    zamin roz kahan moajiza dikhati hai

    meri nigah bhi hogi naqab mein shamil

    usi ka nam hai naghma usi ka nam ghazal

    wo ek sukun jo hai iztirab mein shamil

    Source :
    • Book : Sheher Men Gaon (Pg. 306)
    • Author : Shahid Mahili
    • Publication : Miaar Publications (2012)
    • Edition : 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now