nashat-e-gham ke tain ek KHat-e-mumas hun aaj
nashāt-e-ġham ke ta.iiñ ik ḳhat-e-mumās huuñ aaj
nasīb-e-dushmanāñ zinda huuñ be-hirās huuñ aaj
judā.ī dard mohabbat thī rasm ḳhatm huī
na vo udaas huā kal na maiñ udaas huuñ aaj
ġharīb dil bhī ajab ġham-navāz hotā hai
ḳhushī milī hai to kis darja bad-havās huuñ aaj
maiñ dar-ba-dar huuñ ki maarā huā zamīr kā huuñ
maiñ aa.ina thā magar kitnā be-libās huuñ aaj
asīr-e-dām-e-shunīdan hai fāsla hamdam
ki tū kahīñ bhī rahe tere ās-pās huuñ aaj
ragoñ meñ ab bhī qabīle kā ḳhuun sarkash hai
magar vo vasf kahāñ sirf iltibās huuñ aaj
nashat-e-gham ke tain ek KHat-e-mumas hun aaj
nasib-e-dushmanan zinda hun be-hiras hun aaj
judai dard mohabbat thi rasm KHatm hui
na wo udas hua kal na main udas hun aaj
gharib dil bhi ajab gham-nawaz hota hai
KHushi mili hai to kis darja bad-hawas hun aaj
main dar-ba-dar hun ki mara hua zamir ka hun
main aaina tha magar kitna be-libas hun aaj
asir-e-dam-e-shunidan hai fasla hamdam
ki tu kahin bhi rahe tere aas-pas hun aaj
ragon mein ab bhi qabile ka KHun sarkash hai
magar wo wasf kahan sirf iltibas hun aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.