Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nashat-e-hijr ko teri kami ko bhul gae

Shoib Bukhari

nashat-e-hijr ko teri kami ko bhul gae

Shoib Bukhari

MORE BYShoib Bukhari

    nashāt-e-hijr ko terī kamī ko bhuul ga.e

    tire ḳhayāl meñ Duube tujhī ko bhuul ga.e

    vo duniyā-dār haiñ ham ne kabhī kahā to na thā

    ajiib log haiñ is sādgī ko bhuul ga.e

    adū ne ham se hamārā ġhurūr māñgā thā

    anā-parast the ham zindagī ko bhuul ga.e

    junūñ ek taqāzā thā sirf sar-mastī

    kitāb jhoñk ham āgahī ko bhuul ga.e

    ye kaisī bazm sajī qahqaha nahīñ gūñjā

    gumāñ hai tum bhī kisī aadmī ko bhuul ga.e

    kisī ke ashk ne sairāb kar diyā 'shāh-jī'

    so ham ġharīb-e-vatan tishnagī ko bhuul ga.e

    nashat-e-hijr ko teri kami ko bhul gae

    tere KHayal mein Dube tujhi ko bhul gae

    wo duniya-dar hain hum ne kabhi kaha to na tha

    ajib log hain is sadgi ko bhul gae

    adu ne hum se hamara ghurur manga tha

    ana-parast the hum zindagi ko bhul gae

    junun ka ek taqaza tha sirf sar-masti

    kitab jhonk di hum aagahi ko bhul gae

    ye kaisi bazm saji qahqaha nahin gunja

    guman hai tum bhi kisi aadmi ko bhul gae

    kisi ke ashk ne sairab kar diya 'shah-ji'

    so hum gharib-e-watan tishnagi ko bhul gae

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now