nashat-e-naghma bhi hai masti-e-KHumar bhi hai
nashāt-e-naġhma bhī hai mastī-e-ḳhumār bhī hai
tire jamāl meñ ra.anā.ī-e-bahār bhī hai
nigāh-e-nāz kī mahjūb sehr-āgīnī
adab-navāz bhī hai shoḳh-o-sharmsār bhī hai
surūr-o-sukr kā aalam ajiib aalam hai
ki ḳhvāb-o-ḳhamr bhī hai sho.ala-o-sharār bhī hai
tirī adāoñ kī ḳhū-e-ramīdgī vallāh
hai ek raaz ki pinhāñ bhī āshkār bhī hai
sitam hai sādgī-e-chashm surma-sā jis meñ
vafā kā loch mohabbat kā e.atibār bhī hai
ik iztirāb ik ehsās-e-tishna-kāmī kā
tire huzūr meñ haijān bhī qarār bhī hai
sabā vo sarv-e-ravāñ gar mile to kah us se
kisī ko shām-e-alam terā intizār bhī hai
tū mere ḳhanda-e-masrūr-o-mutma.in pe na jā
ik aarzū mire pahlū meñ sogvār bhī hai
kise batā.ūñ garāñ-jāñ hai is qadar 'ḳhālid'
ki ain ālam-e-mastī meñ hoshiyār bhī hai
nashat-e-naghma bhi hai masti-e-KHumar bhi hai
tere jamal mein ranai-e-bahaar bhi hai
nigah-e-naz ki mahjub sehr-agini
adab-nawaz bhi hai shoKH-o-sharmsar bhi hai
surur-o-sukr ka aalam ajib aalam hai
ki KHwab-o-KHamr bhi hai shoala-o-sharar bhi hai
teri adaon ki KHu-e-ramidgi wallah
hai ek raaz ki pinhan bhi aashkar bhi hai
sitam hai sadgi-e-chashm surma-sa jis mein
wafa ka loch mohabbat ka eatibar bhi hai
ek iztirab ek ehsas-e-tishna-kaami ka
tere huzur mein haijaan bhi qarar bhi hai
saba wo sarw-e-rawan gar mile to kah us se
kisi ko sham-e-alam tera intizar bhi hai
tu mere KHanda-e-masrur-o-mutmain pe na ja
ek aarzu mere pahlu mein sogwar bhi hai
kise bataun garan-jaan hai is qadar 'KHalid'
ki ain aalam-e-masti mein hoshiyar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.